Jinke sar ho ishq ki chhaaon
Paaon ke neeche jannat hogi
Chal chhaiyya chhaiyya
Sar ishq ki chhaaon chal chhaiyya chhaiyya
Paaon jannat chale chal chhaiyya chhaiyya
Voh yaar hai jo khushboo ki tarah
Jiski zubaan urdu ki tarah
Meri shaam raat, meri kaayanat
Voh yaar mera saiyya saiyya
Gulposh kabhi itraaye kahin maheke to nazar aa jaaye kahin
Taaviz banaake pehen usse, aayat ki tarah mil jaaye kahin
(Voh yaar hai jo imaan ki tarah)
Mera nagma vohi, mera kalma vohi
Mera nagma nagma, mera kalma kalma
Yaar misaale os chale, paaon ke tale firdos chale
Kabhi daal daal kabhi paat paat
Main hawa pe dhoondoon uske nishaan
Main uske roop ka shaidaayi, voh dhoop chhaaon sa harjaayi
Voh shokh ka rang badalta hai, main rang roop ka saudaai